Hello Every one, Agar aap ek Indian hai to shidhi si baat hai aapka Aadhaar Card to hoga hi, or aapko pata ho hoga Government ka aadesh ke aanusar har ek mobile number se aadhaar number link hona jaruri hai.
Agar aapne abhi tak Apne Mobile Number me aadhaar Number ko Verify nahi karaya hai to aapke pass usse sambandit call or message bhi jarur aate hoge.
to chaliye jaan lete hai kaise Aadhaar Number ko Mobile number se link karte hai.
Aadhaar ko mobile number se verify karne ka ek tarika to ye hai ki ham kisi dukandar ke pass jaye jo Aadhaar number ko mobile se verify karta ho, or usko kuch paise dekar verify kara le.. par ek or Tarika bhi hai
Aadhaar link kare Mobile Number se [IVRS Method]
Iss tarike se Mobile number me aadhaar number verify karne ke liye hame ek number hai uspar call karna hai, or usme jo steps batai jaye unko follow karna hai.
Step 1: Apne Mobile se Call kare 14546 par.
Step 2: Ab ek computer generated aabaj aayegi, jisme hame apni language select karne ko kaha jayega. Hindi ke liye 1 dabana hai.
Step 3: Ab jo hamara Aadhaar number hai uski 12 digit enter karke # dabana hai.
Step 4: Ab jo hamara Aadhaar Card hai usme jo number add hai, uspar ek OTP aayega, wo enter karke # dabana hai.
Step 5: iske baad aapke pass conformation ka message aa jayega
To dekha aapne kitni aasani se aap 1 minute me apne Mobile Number ko Aadhaar se link kar sakte hai, hope aapko ye choti par useful jankari pasand aai hogi.
Click here For Call 14546